Gharana (1961) – Husnwale Tera Jawab Nahin Song Lyrics

Husnwale Tera Jawab Nahin Lyrics from Gharana (1961): The song is sung by Mohammed Rafi, composed by Ravi with lyrics written by Shakeel Badayuni and it features Ashok Kumar, Meena Kumari, Pradeep Kumar, Shashikala, Rajendra Nath, Vijaya Choudhury, and Keshto.


Husn wale tera jawaab nahin,
Koyi tujh sa nahin hazaaron mein,
Husn wale tera jawaab nahin,Tu hai aisi kali jo gulshan mein,
Saath apne bahaar laayi ho,
Tu hai aisi kiran jo raath dhale,
Chandni mein naahaake aayi ho,
Yeh tera noor yeh tere jalwe,
Jis tarah chand ho sitaaron mein..
Husn wale tera jawaab nahin…Teri aankhon mein aisi masti hai,
Jaise chalke huve hon paimaane,
Tere honton pe voh khumoshi hai,
Jaise bikhre huve hon afsane,
Teri zulfon ki aise rangath hai,
Jaise kaali ghata baharon mein,,
Husn wale tera jawaab nahin..Teri surat jo dekhle shayar,
Apne sheron mein taazagi bhara le,
Ik musaphir jo tujh ko paa jaaye,
Apne khwabon mein zindagi bhar le,
Nagmagar dundle agar tujh ko,
Dard bharle voh dil ke taaron mein..Husn wale tera jawaab nahin,
Koyi tujh sa nahin hazaaron mein,
Husn wale tera jawaab nahin…


Singer: Mohammed Rafi

Lyricist: Shakeel Badayuni

Music: Ravi