Ghatothkach – Main Hoon Khatothkach (Child) Song Lyrics

This animated movie was released in the year 2008 and is directed by Mr Singeetham Srinivas Rao. The film is based on the character of Ghatothkach who was the son of Hidimba and Bheem from the mythology “Mahabharata.” The director has also composed the music of the film. The production of the film took close to 2 years and the film was premiered at the Cannes Festival in 2008.

Album: Ghatothkach

Song: Main Hoon Khatothkach (Child)


Lyrics

Main hoon ghatothkach main duniya mein sabse niraala
Main hoon khatothkach mujhko meri maiya ne paala
Dharati hile ambar hile uthe jo mera gada
Main hoon khatothkach main duniya mein sabse niraala

Jaane saare jaane mere pita bheem balvaan
Apne vir pita pe hai mujhe bada abhimaan
Roke mera jo raasta aisa koyi hai kaha
Balvan aisa, ha mere jaisa koyi nahi hai yaha
(Dharati hile ambar hile uthe jo mera gada
Main hoon khatothkach main duniya mein sabse niraala) – (2)

Bairi ko na chhode arjun chacha ke baan
Paida na huwa vaisa phir koyi shoor mahaan
Main dheer hu, ranvir hu koyi na mujhse lada – (2)
(Dharati hile ambar hile uthe jo mera gada
Main hoon khatothkach main duniya mein sabse niraala) – (2)