Haider – Bismil Song Lyrics

Bismil Bismil Lyrics from Haider (2014): A superb song which tells story of a couple in a fairy-tale style.


Bismil bismil bulbul-e-bismil (bismil..)
Mat mil mat mil gul se mat mil (mat mil..)
Aye Bismil bismil bulbul-e-bismil
Mat mil, mat mil gul se mat mil
Bismil bismil bulbul-e-bismil
Aye dil-e-bulbul bulbul-e-bismil
Mushkil-e-dil bhi mushkil hoti hain
word meanings:
(bismil: wounded, bulbul: nightingale, gul: flower)Dil dhadke dil dil dhadke toh..
Dil dhadke dil dil dhadke toh
Dhadkan-e-dil bhi harqat-e-dil hoti hain
Khushbooein gul mein, ishq bhara hai
Mat mil mat mil gul se mat mil
Aye bulbul-e-bismil
Mat mil mat mil gul se mat mil
Aye bulbul-e-bismilHa ha.. hey ha…Ho.. sunle zamaana samjhaata hoon
Teri kahaani doharata hoon
Aye dil-e-bulbul bulbul-e-bismil
Aye dil-e-bulbul bulbul-e-bismil
Ik joda tha nar-maada ka
Bholi thi bulbul, nar saada tha
Ik joda tha nar-maada ka
Bholi thi bulbul, nar saada thaBarf gira karti thi
Jab bhar jaati thi kohsaaron mein
Ik baaz bada badneeyat tha
Haan ik baaz bada badneeyat tha
Udta tha, sabza-zaaron mein
Pankhon me uske maut chhupi thi
(kohsaar: mountains, sabza-zaaron: desert)Mehfil mehfil dhoondh raha tha
Mehlon ki manzil
Mehfil mehfil dhoondh raha tha
Mehlon ki manzilBulbul ke khwabon mein jaakar
Zehar ke dank lagaaye thhe
Khushboo-e-gul mein zehar bhara
Aur maada ko bhijwaaye thhe
Zehar ke dank lagaaye thhe
(bulbul ke khwabon mein jaakar)
Mada ko bhijwaaye the
(Zehar ke dank lagaye the)
O o.. waadi me chidka baarood
Jheel me jaal bhichha daale
Chhuriyon se bechare nar ke
Chhuriyon se bechare nar ke
Dono pankh kataa daale
(buzdil:coward)Arey dil dil dil dil jhoot kahe ye
Jhoot kahe buzdil
Mat mil mat mil Gul se mat mil
Aye bulbul-e-bismil
Aye bulbul-e-bismil
Aye bulbul-e-bismilZakhmi nar ko qaid kiya (qaid kiya, qaid kiya)
Zanjeeron mein bandhwaya
Baramulla ke Shirinpur se phir
Paani mein phinkwaaya
Jehlum.. Jehlum..
Laal laal hua
Laal laal hua
Laal laal hua laal
Jehlum.. Jehlum..
Laal laal hua
Laal laal hua
Laal laal hua laal
(Jehlum: Jhelum River)Kashmir ke paani ki taaserein
Khul gayi zanjeerein taqdeerein
Zinda hai woh zinda hoga
Mujrim bhi sharminda hoga
Zinda hai woh zinda hoga
Mujrim bhi sharminda hoga
Zinda hai woh zinda hoga
Mujrim bhi sharminda hoga
(taaserein: effects, taqdeerein: fates, mujrim: )Hosh mein aa jaa
Hosh mein aa jaa
Aye bulbul-e-bismil
Aye bulbul-e-bismil
Khushboo-e-Gul me zehar bhara hai
Hosh mein aa ja, hosh mein aa ja
Aye bulbul-e-bismil
Hosh mein aa ja
Hosh mein aa ja
Aye bulbul-e-bismil


Singer: Sukhwinder Singh

Lyricist: Gulzar

Music: Vishal Bhardwaj