Ilzam (1970) – Tumhare Bina Hame Song Lyrics

This Bollywood movie was directed by Mr Kamran under the banner of L.K Production. The star cast for the film is inclusive of Dara Singh, Premnath, Sanjana, Jagdish Raaj, Tiwari, Bela Bose and Ulhas in pivotal roles.

Album: Ilzam (1970)

Song: Tumhare Bina Hame


Lyrics

Hamari aah kab tak besar hogi khuda jane
Akele jindgi kaise basar hogi khuda jane
Tadapte hai taraste hai
Magar kuch kah nahi sakte
Jo halat jo idhar hai
Kab udhar hogi khuda jane

Suni suni sajriya pe soya na jaye – 2
Tumhare bina hame nindiya na aaye – 2
Suni suni haye haye
Suni suni sajriya pe soya na jaye

Ab to har sham ki is tarah sahar hoti hai
Kan aahat me isharo pe najar hoti hai
Ek khyal aata hai ek jata hai tanhayi me
Karwate lete hue rat basar hoti hai
Suni suni sajriya pe soya na jaye – 2
Tumhare bina hame nindiya na aaye – 2
Suni suni haye haye
Suni suni sajriya pe soya na jaye

Roz aate ho magar aag lagane ke liye
Dil me armano ke tufan uthane ke liye
Tum to pathar ho bhala tumko khabar kya hogi
Hum pareshan hai ye bat batane ke liye
Suni suni sajriya pe soya na jaye – 2
Tumhare bina hame nindiya na aaye – 2
Suni suni haye haye
Suni suni sajariya pe soya na jaye