Imaan (1974) – Paise Bina Pyaar Fazul Hai Song Lyrics
This Bollywood movie released in the year 1974 and was directed by Mr B. Padmanabham. The writer of this film is Hermann Sudermann and the star cast includes Sanjeev Kumar and Leena Chandavarkar in lead roles along with Master Bhagwan, Anwar Hussain, Satyendra Kapoor, Johnny Walker and Keshto Mukherjee in supporting roles.
Album: Imaan (1974)
Song: Paise Bina Pyaar Fazul Hai
Lyrics
Paise bina pyaar fazul hai, yeh pyaar kya hai
Paise bina pyaar fazul hai – (2)
O raani yeh jawaani ki bhul hai
Paise bina pyaar fazul hai, paise bina pyaar
Jise dil chaahe woh na mil paaye toh daulat se woh kharid lo – (2)
Logo deewaano yeh maano ya na maano apana toh yeh usul hai
Paise bina pyaar fazul hai – (2)
O raani yeh jawaani ki bhul hai, paise bina pyaar
Tose laage naina jaage saari raina, hat jhuti hai sab kahaaniya – (2)
Aaj khil jaaye toh kal murjhaaye dil ek patjhad ka phul hai
Paise bina pyaar fazul hai – (2)
O raani yeh jawaani ki bhul hai, paise bina pyaar
Bhula pyaasa soye jaage toh roye woh aadami pyaar kya karein – (2)
Jise nahi khona paisa toh hai sona baaki sab kadamon ki dhul hai
Paise bina pyaar fazul hai – (2)
O raani yeh jawaani ki bhul hai, paise bina pyaar fazul hai