Jaal (1952) – De Bhi Chuke Hum Dil Najaraana Song Lyrics

Jaal is a film that has given an evergreen song ‘Yeh Raat Yeh Chandni Phir Kaha Sun Jaa Dil Ki Dastaan….’ Hemant Kumar has given his voice to this song composed by S. D. Burman. Guru Dutt has written and directed this 1956 film. Dev Anand, Geeta Bali, K. N. Singh, and Johnny Walker are the actors. The film is set in Goa and reflects love and forgiveness, which are integral parts of Christianity.

Album: Jaal (1952)

Song: De Bhi Chuke Hum Dil Najaraana


Lyrics

De bhi chuke hum dil najaraana dil ka – (2)
Are chhodo bhi (chhodo bhi yeh raag puraana dil ka -2)

Ek najar mein haar chuke hain dil ko achchha
Ek najar mein haar chuke hain dil ko
Teri ada pe vaar chuke hai dil ko
Haan ji mushkil hai laut ke aana dil ka
Ja ja ja chhodo bhi yeh raag puraana dil ka

Muh dhole woh jaal bichhaane waale – (2)
Hum nahi inn baaon mein aanewaale
Khel hai yeh jana pehchaana dil ka
Re de bhi chuke hum dil najaraana dil ka

Chhin ke dil aashiq ka muh karanewaale achchha
Chhin ke dil aashiq ka muh karanewaale
Are mar jaayenge tujhpar maranewaale
Haay chhod bhi de jaalim tadpaana dil ka, ja ja
Chhodo bhi yeh raag puraana dil ka

Daali daali pjirate hai harjaayi – (2)
Dhongi bhavaron ne kab preet nibhaayi
Yuun hi sab karate hai bahaana dil ka
Haay bhi chuke hum dil najaraana dil ka
Yuun hi sab karate hai bahaana dil ka
Khel hai yeh jana pehchaana dil ka
Chhodo bhi yeh raag puraana dil ka