Jaal (1967) – Mizaaj-e-garami Duwa Hai Aap Ki Song Lyrics

Jaal is a 1967 suspense-thriller fiim directed by Moni Bhattacharjee. Starring in this film are Biswajeet, Mala Sinha, Nirupa Roy, Sujit Kumar. An inspector is assigned to find out the reason for the death of a young man. However, the mother of the deceased still believes that her son would return and does all kinds of mad acts. Meanwhile, the inspector and the girl (whom the deceased was off to marry) start liking each other. But the girl is being haunted by a scarred-faced man.

Album: Jaal (1967)

Song: Mizaaj-e-garami Duwa Hai Aap Ki


Lyrics

Mizaaj-e-garami duwa hai aap ki – (2)
Badi khubsurat ada hai aap ki, badi khubsurat nigaah hai aap ki
Mizaaj-e-garami duwa hai aap ki – (2)

(Khoya khoya sa kuchh gum sum
main aajkal rehata hoon har mehfil mein) – (2)
Koyi dawa toh batlaao ki dard rehata hai jara sa dil mein
Yahin dard-e-dil toh dawa hai aap ki – (2)
Mizaaj-e-garami duwa hai aap ki – (2)

Marzi hai aaj kya fiza ki jo aaj mra dil yuun dhadaka rahi hai – (2)
Kya ho gaya hai iss hawa ko jo aise mere julfon ko bikhara rahi hai
Kare kaya ki aashiq hawa hai aap ki – (2)
Mizaaj-e-garami duwa hai aap ki – (2)

Aaye na nind mein mohabbat mein toh raat suhaani koyi kaise gujaare – (2)
Sota hai chain se jamaana gujaarata hon main raat gin ginake taare
Khata hai ye kisaki khata hai aap ki
Mizaaj-e-garami duwa hai aap ki – (2)
Badi khubsurat ada hai aap ki, badi khubsurat nigaah hai aap ki
Mizaaj-e-garami duwa hai aap ki – (2)