Jaanam – Aawara Kehta Tha Mujhe Yeh Jahan Song Lyrics

Album: Jaanam

Song: Aawara Kehta Tha Mujhe Yeh Jahan


Lyrics

(Iss tarah pyar se tumne dekha sanam
Kya kahe kya huwa, ham rahe abb na ham
Tumhara kya gaya, hamara dil gaya
Ke abb dil ko sanam kahan dhundenge ham) – (2)
Iss tarah pyar se
Na ham jante tumhe, na pehchante ho tum
Yeh achchha nahee hai jo kiye tumne hosh gum
Tumhe yeh khabar hai kya yeh darde jigar hai kya
Badee khub dillagee mere sath tumne kee
Tumhara kya gaya, hamara dil gaya
Ke abb dil ko sanam kahan dhundenge ham
Iss tarah pyar se
Tumhare bina hamen na abb chain aayega
Hamara khayal toh tumhe bhee satayega
Yehi sach hai man lo, na yu imtahan lo
Juda hoke jao na, ke abb ajmao na
Tumhara kya gaya, hamara dil gaya
Ke abb dil ko sanam kahan dhundenge ham
Iss tarah pyar se tumne dekha sanam
Kya kahe kya huwa, ham rahe abb na ham
Tumhara kya gaya, hamara dil gaya
Ke abb dil ko sanam kahan dhundenge ham
Iss tarah pyar se tumne dekha sanam
Hm hm hm hm hm…….