Jack & Dil – Humne Rait Pe Song Lyrics

Album: Jack & Dil

Song: Humne Rait Pe


Lyrics

Yeh kya hua yeh kyun huaa
Jo bhi hua aacha huaa

Humane rait pe yunhi pheri thi ungaliyaan
Kya karu itfaak se tera naam bann gaya

Lab pe ruki jo tu baat hain
Dil bhi bhigaa de tu barsaat hain

Lab pe ruki jo tu baat hain
Dil bhi bhigaa de tu barsaat hain
Nasha jis ka nahi tujhe
Tu mere liye vo jaam ban gayaa
Aftaab mehtaab sa ab lagane lagaa tu
Tu hi subah meri aur sham bann gaya
Humane rait pe yunhi pheri thi ungaliyaan
Kya karu itfaak se tera naam bann gaya

Mohabbat se jyada mohabbat hai sanam
Door kabhi jaake nahi karana sitam

Mohabbat se jyada mohabbat hai sanam
Door kabhi jaake nahi karana sitam
Tuhi duaa tuhi dawaa aur
Teri bandagi mein dil gulaam ban gaya
Humne toh yuhi gungunaya tha tujhe
Tu toh shairana kalam ban gaya

Humane rait pe yunhi pheri thi ungaliyaan
Kya karu itfaak se tera naam bann gaya
Tu mera pehala pehala pyaar ban gaya
Humane rait pe yunhi pheri thi ungaliyaan
Kya karu itfaak se tera naam bann gaya