Kill Dil – Nakhriley Song Lyrics

Nakhriley Lyrics from Kill Dil: An awesome item song from Shaad Ali’s movie, the song is sung by Ali Zafar, Shankar Mahadevan & Mahalakshmi Iyer and composed by SEL while lyrics are penned by Gulzar.


Lahu luhaan hua hai falak
Yeh kaisa loha pighla hai
Ek suraj doob gaya peeche
Ek suraj saamne nikla hai Haan..
Maana-waana ishq-vishq pe zor toh nahin
Dil mein dum hai, haal-chaal kamzor to nahin
Ishq ki chaal pe maat manzoor hai Arey o bandey mauqa hai
Arey o jalne walne ka mauqa hai
Ho ishq mein jalke aag hue jab maujzaa hua
Haan ishq me jalke aag hue to…
(maujzaa: miracle) Nakhriley.. nakhrile, nakhreele do rasheele
Humpe do nashile naino ki.. aha! bochar ho gayi
Ho.. nakhriley nakhriley do rasheele
Humpe do nashile naino ki aha! bochar ho gayi O laawarison ki na poocho
Unka sagga ek dil hai (..sargam..) Laawarison ka na koi
Haan unka bada ek dil hai Hai sajde mein, aake wo uthayein
Hum uske hain to jalwa dikhayein
Hai sajde mein, aake wo uthayein
Hum uske hain to jalwa dikhayein
Ho chhaliya chhal gaye, chhal gaye, chhal gaye wo naina Khatm kare jo haaye
Bhasm kare jo haaye
Shaam bujhaye aur jalaye
Kat jaaye ratiya, ratiyan, ratiya..
Chal na raakh ho jaayein Arey o bandey mauqa hai
Arey o jalne walne ka mauqa hai
Ho ishq me jalke aag hue to… Nakhriley.. nakhreele, nakhreele do rasheeley
Humpe do nashile naino ki aha! bochhar ho gayi Haan…
Dardile, dardile qisse saare dardile
Dardile.. rishte saare dardile
Yeh qisse saare.. dardile
Ye rishte saare.. dardile
Afsaane saare hote hain.. dardile Teri aankhon ki aab-o-hawa mein jeeun
Teri maujoodgi ki fizaa mein jeeun
Teri baaton se hum toh badal jaate hain
Meri aankhon ke mausam badal jaate hain Ho mausam sarda, mausam garma
Sard bhi tu hai, garam bhi tu hai
Aag lage, pyaas lage
Pyaas lage, aag lage
Jal jaane de… ho.. Nakhriley.. nakhreele, nakhreele do rasheeley
Humpe do nashiley naino ki..
Aaha bochhar ho gayi Haan nakhrile, nakhriley do rashiley
Humpe do nashile naino ki aaha bochar ho gayi


Singer: Ali Zafar, Shankar Mahadevan, Mahalakshmi Iyer, Gulzar

Lyricist: Gulzar

Music: Shankar-Ehsaan-Loy