Lakshya – Agar Mai Kahu Mujhe Tumse Song Lyrics

This Bollywood war movie was released in the year 2004 and was directed by Mr Farhan Akhtar. The star cast is inclusive of Hrithik Roshan and Preity Zinta in lead roles along with Amitabh Bachchan, Sharad Kapoor, Om Puri, Boman Irani and Aditya Shrivastav in supporting characters. Hrithik plays the character of a Lieutenant who is the leader of one army team. The film is based on the Kargil War between India and Pakistan in the year 1999.

Album: Lakshya

Song: Agar Mai Kahu Mujhe Tumse


Lyrics

Udit:
(Agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai
Meri bas yehi chaahat hai toh kya kahogi) -2
Alka:
Main tumse kahoongi, is baat ko agar tum
Zara aur saja ke kehte, zara ghooma-phira ke kehte
Toh achcha hota

Udit:
Agar main kahoon
Tumko jab dekhoon lagti ho jaise nayi
Honthh hain pankhadi phool ki
Aankhein jaise jugnu chamke huwe
Soche mera ye dil dhadakte huwe
Agar main kahoon…
Agar main kahoon ye jo chehra hai
Jaise koyi chaand hai toh kya kahogi

Alka:
Main tumse kahoongi
Mujhko bhoole se bhi chaand tum na kaho
Chaand mein toh kayin daag hai
Mujhe phool na kehna woh murjhaate hain
Jugnu bhi na kehna woh kho jaate hain
Ye baatein puraani hai, jo mujhko sunaani hai
Kissi aur adaa se kehte, zara ghooma-phira ke kehte
Toh achcha hota

Udit:
Agar main kahoon mujhe tumse mohabbat hai
Meri bas yehi chaahat hai toh kya kahogi

Udit:
Agar main kahoon
Baatein sunke tumhaari main hairaan hoon
Jo bhi kehna hai kaise kahoon
Lagta tumhein kuchh bhi achcha nahin
Sach ko bhi kehti ho sachcha nahin

Alka:
Agar main kahoon..
Agar main kahoon tumhein pata nahin hai kyun
Hai pyaar mujhe bhi tumse toh kya kahoge

Udit:
Main tumse kahoonga, mere dil ka hai ye kehna
Ham ko hai saath mein rehna

Alka:
Ye dono ke dil mein hai na toh phir kyun kehna

Udit:
Agar main kahoon

Alka:
Toh main tumse kahoongi