Lamahe – Abhijeet – Ek Bar Tum Aana Phir Bhale Laut Jana Song Lyrics

Album: Lamahe – Abhijeet

Song: Ek Bar Tum Aana Phir Bhale Laut Jana


Lyrics

(Ek bar tum aana phir bhale laut jana
Meraa bita huwa kal lana sagar ke kinare aana
Wahi ret kaa ghar hai banana
O o o……….) – (2)

Chanda tha jaha wahi hai abhee, sitaro kee jhilmil wahi – (2)
Jis mod pe ham mile the kabhee, woh mod abhee hai wahi
Kajra lagana palake jhukana, milana teraa sharmana
Ek bar tum aana phir bhale laut jana
Meraa bita huwa kal lana sagar ke kinare aana

Chaha jo yaha mila hai sabhi, han tumako magar kho diya – (2)
Sapanon kaa shahar ho apana hua, ek tu hee naa meraa hua
Mujhko manana khud ruth jana, dekha naa teraa itarana
Ek bar tum aana phir bhale laut jana
Meraa bita huwa kal lana sagar ke kinare aana
Wahi ret kaa ghar hai banana
O o o………..