Lamhaa – Main Kaun Hoon Song Lyrics

Lamhaa is an action-thriller based on issues in Kashmir. It is directed by Rahul Dholakia and features Sunjay Dutt and Bipasha Basu in the lead roles. The lyrics written by Amitabh Varma and Sayeed Quadri is decorated with music by Mithoon, who has recognized himself as a talented music director. Out of the six songs in the film, the song Madno Re was an instant hit the nationwide.

Album: Lamhaa

Song: Main Kaun Hoon


Lyrics

Welcome to kashmir
Yaha ka mausam aur maahol kabhi bhi badal sakata hai

Woh na kahe toh kuchh bhi nahi
Main yeh kahu main kuchh bhi nahi
Woh na kahe toh kuchh bhi nahi
Main kuchh bhi nahi

Na des mera na mitti meri
Main hoon banjaara, meri hi jamin pe
Main kaun hoon, main kaun hoon
Kyun apane jahaan mein, main hoon ajanabi
Main kaun hoon, main kaun hoon

Islaam ke naam par
Pandito ke naam par
Kashmiriyat ke naam par
Aajaadi ke naam par
Sabhi shaamil hai, sabhi shaamil hai

Na jaane kyun aisa ho gaya, begaani huyi apani jagah
Na jaane kyun apani hi taraf, uthati har sabhi ki ungaliya
Abb toh yakin khud pe hi nahi, anjaana hai har lamaha yahaan
Najarein churaaye aankhein jhukaaye, kab tak jiye hum iss tarah
Kaisi khata ki jo yeh saja di, hamako kahin ka na rakha
Jannat thi apani sar jamin, sufi hamako kehate sabhi
Abb toh koyi mujarim koyi aatanki keh raha
Main kaun hoon, main kaun hoon
Kyun apane jahaan mein, main hoon ajanabi
Main kaun hoon, main kaun hoon

Na des mera na mitti meri
Main hoon banjaara, meri hi jamin pe
Main kaun hoon, main kaun hoon
Chehare pe sabke hai hansin, par dil mein hai bas aag hi
Bujhati nahi jo jal rahi, jo puchhe baaraha
Main kaun hoon, main kaun hoon
Kyun apane jahaan mein, main hoon ajanabi
Main kaun hoon, main kaun hoon