Listen… Amaya – Kashmakash Song Lyrics

Listen… Amaya is a 2013 drama film featuring two popular pairs of the 1980s after a gap of 25 years – Farooq Shaikh and Deepti Naval. Swara Bhaskar is playing the daughter to Deepti Naval. Farooq and Deepti are playing the role of widowed and widower respectively. They meet in a library cafe run by the latter and start developing a liking towards each other. When Deepti’s teenage daughter comes to know of their relationship, she objects to it strongly fearing insecurity. How the older convinces the young and career-oriented girl is the base of the film.

Album: Listen… Amaya

Song: Kashmakash


Lyrics

Kashmakash hai yehi kya karoon kya nahi
Kiski maanu yahaan dil kahin mann kahin
Rishte hansaate hain kabhi
Kabhi yeh gham ke aansu rulaate
Hmm sapne dikhaate hain kabhi
Kabhi yeh neend se hain jagaate
Chalte chalte jhonkon pe
Thehra thehra aasmaan
Oonchi oonchi lehron mein gehra gehra karwan

Sach hai kya jhooth kya
Kya gawaah kya yakeen kashmakash hai yehi
Kya karoon kya nahi kiski maanu yahaan
Dil kahin mann kahin
Kashmakash hai yehi kya karoon kya nahi
Kiski maanu yahaan dil kahin mann kahin
Kashmakash hai yehi – 2
Haan kashmakash hai yehi

Apna banaate hain kabhi
Kabhi yeh bheed mein chhod jaate
Chhod jaate
Doori mitaate hain kabhi
Kabhi yeh dooriyaan hain badhaate
Dooriyaan
Ujle ujle aasmaan kaali kaali badliyaan
Halke halke aansu ki bhaari bhaari dastaan
Paas kya door kya kya gaya kya yahin
(Kashmakash hai yehi kya karoon kya nahi
Kiski maanu yahaan dil kahin mann kahin) – 2
Kashmakash hai yehi haan kashmakash hai yehi