London Dreams – Tapake Masti Song Lyrics

This musical extravaganza is directed by Mr Vipul Shah and features, Ajay Devgan and Salman Khan along with Asin in lead roles. Shankar, Ehsaan and Loy have composed the music of this film whose lyrics were penned by Prasson Joshi. The songs “Khanabadosh”, and “Man Ko Ati Bhavey Saiyaan” were popular.

Album: London Dreams

Song: Tapake Masti


Lyrics

(Ho masti jaamun si, tapake re jhar jhar ke
Mastiyon ki shaakh hila de aaj jashn mana ji bhar ke) – (2)
Tapake tapake tapake tapake masti – (2)
Loot le tu khoya hai kahaan, jeb mein tu bhar le aasmaan

(Khushiyon ka ras kar ke, nichod le hans kar ke
Ghum ki aisi taisi kar aaj jhum le kas karake) – (2)
Tapake tapake tapake tapake masti – (2)
Loot le tu khoya hai kahaan, jeb mein tu bhar le aasmaan

Chullu se kya pina laga muh se suraahi
Manjil bhi hai pyaasi tu baith ja raahi
Husn ki aaj laga le tatte, nikala hai mausam bina dupatte
Abb na sambhal, tera hai kal, jhumake nikal
Ho masti jaamun si, tapake re jhar jhar ke
Mastiyon ki shaakh hila de aaj jashn mana ji bhar ke
Tapake tapake tapake tapake masti – (2)
Loot le tu khoya hai kahaan, jeb mein tu bhar le aasmaan

Kisi ke hont ki laali ja ragad chura le
Husn ko jaake duniya se jhagade utha le
Jindagi aayegi khud hi matak ke
Jab tu jhumega baal jhatak ke
Thumaka laga sochata hai kya mastiyaan luta
Ho masti jaamun si, tapake re jhar jhar ke
Mastiyon ki shaakh hila de aaj jashn mana ji bhar ke
Tapake tapake tapake tapake masti – (2)
Loot le tu khoya hai kahaan, jeb mein tu bhar le aasmaan