Maa (1977) – Aisi Koi Baat Jo Song Lyrics

Maa is a heart-touching story from a film directed by M. A. Thirumugham. It starred Dharmendra, Hema Malini, Nirupa Roy, and Ranjeet in lead roles. This film was released in 1976, and depicts the motherly love of animals for their new-born, and to what extent they go in protecting them against poachers.

Album: Maa (1977)

Song: Aisi Koi Baat Jo


Lyrics

Aisi koi baat jo kabhi na suni ho
Keh de mere kaano mein chupake se chori se
Taaron bhari raat mein chalo pehale sun le
Kahe aasmaano mein chanda kya chakori se
Aisi koi baat jo kabhi na suni ho
Keh de mere kaano mein chupake se chori se
Aisi koi baat

Honto pe meri saansein rukane lagi hain
Sapano se bojhal palakein jhukane lagi hai
Isi tarah nind aati hai kaliyon ko
Rut ke taraano mein bahaaron ki lori se
Aisi koyi baat jo kabhi na suni ho
Keh de mere kaano mein chupake se chori se
Aisi koi baat

Kehate hai log kuchh phul nahi khilate
Aise jaise din aur raat nahi milate
Din aur raat yuun milate hai chupake
Jaise khaliyaano mein piya mile gori se
Taaron bhari raat mein chalo pehale sun le
Kahe aasmaano mein chanda kya chakori se
Aisi koi baat

Main toh chali aayi kiya tune ishaara – (2)
Hoga kya jo maine tujhako pukaara
Jab karo yaad main khincha chala aau
Bandha armaano mein najaron ki dori se
Aisi koyi baat jo kabhi na suni ho
Keh de mere kaano mein chupake se chori se
Taaron bhari raat mein chalo pehale sun le
Kahe aasmaano mein chanda kya chakori se
Aisi koi baat