Maa (1977) – Maa Tujhe Dhundu Kahaan Song Lyrics

Maa is a heart-touching story from a film directed by M. A. Thirumugham. It starred Dharmendra, Hema Malini, Nirupa Roy, and Ranjeet in lead roles. This film was released in 1976, and depicts the motherly love of animals for their new-born, and to what extent they go in protecting them against poachers.

Album: Maa (1977)

Song: Maa Tujhe Dhundu Kahaan


Lyrics

Maa

Maa tujhe dhundu kahaan – (2)
Maine mamata ko pehchaana, main bachchon ke dard ko jaana
Tujhako kho kar maa
Maa tujhe dhundu kahaan -2, maa

Maa ik jaisi hoti hai bachche ik jaise hote hain – (2)
Chot lage toh insaano ki tarah pashu bhi rote hain
Bichhade huwo ko maine milaaya, maine apana karj chukaaya
Tujhako kho kar maa
Maa tujhe dhundu kahaan -2, maa

Tu sach kehati thi kisi ki bad duwa lag jaati hai – (2)
Apani hi banduk se goli khud pe bhi chal jaati hai
Maine kaisa khel yeh khela, ro baitha aaj akela
Tujhako kho kar maa
Maa tujhe dhundu kahaan -2, maa
Maine mamata ko pehchaana, main bachchon ke dard ko jaana
Tujhako kho kar maa
Maa tujhe dhundu kahaan -2, maa