Madan Mohan – Tere Bagair – Phir Wohi Shaam Song Lyrics

Madan Mohan – Tere Bagair is a rare collection of unused songs composed by music maestro, Madan Mohan. The album has 15 songs and was released on the occasion of 85th birth anniversary (June 25, 2009) of the man whose songs are alive forever. Any listeners who know A, B, C of music will appreciate this album with heart.

Album: Madan Mohan – Tere Bagair

Song: Phir Wohi Shaam


Lyrics

(Phir wohi shaam, phir wohi hum
Phir wohi dard puraane, dard puraane) – (2)
Phir wohi shaam

Kaun aaya aur kaun gaya, yaad se kya faayada – (2)
Sunanewaala koyi nahi fariyaad se kya faayada
Bhul bhi jaao afsaane – (2)
Phir wohi shaam, phir wohi hum
Phir wohi dard puraane, dard puraane
Phir wohi shaam

Ik deewaana chala gaya toh sau deewaane aayenge
Ik deewaana haan deewaana haan deewaana
Ik deewaana chala gaya toh sau deewaane aayenge
Shamma mein jab tak garmi hai (kayi parwaane aayenge -2)
Apane dil ko behala le – (2)
Phir wohi shaam, phir wohi hum haay
Phir wohi dard puraane, dard puraane
Phir wohi shaam

Woh na sahi maikhaana sahi, mere saath yeh jaam sahi
Woh na sahi aa ha woh na sahi o ho
Woh na sahi maikhaana sahi, mere saath yeh jaam sahi
Naam se kya lena hai tujhako (aye dil tu badnaam sahi-2)
Phir se uthaale paimaane – (2)
(Phir wohi shaam, phir wohi hum
Phir wohi dard puraane, dard puraane) – (2)
Phir wohi dard puraane mm mm mm hmm hmm hmm…..