Maharana Pratap – The First Freedom Fighter – Veer Pratap Song Lyrics

This Historical epic Bollywood movie was directed and produced by Mr Pradeep Kumawat. The film is based on true events based on Maharana Pratap who was from Mewar in Rajasthan, India. This was the first time when a move was made on his life. The film shows the conflicts and fights between Maharana Pratap against Man Singh and Akbar that lead to the Haldighati Battle. The music composition for the film is done by Dr Prem Bhandari.

Album: Maharana Pratap – The First Freedom Fighter

Song: Veer Pratap


Lyrics

Aajadi ki khatir dekho sab kome mil kar ladti hai
Kya likhu pratap ki gaatha kalam ki sayahi kam padti hai
(Veer pratap ke jeevan ki dekho ye amar kahani hai
Aane waalee nasalo ko ye gorav gatha sunani hai) – 2
Veer pratap ke jeevan ki dekho ye amar kahani hai

Aajadi kayam rakhne ko jeevan bhar sangars kiya – 2
Apne usulo ki khatir har sukh ko jisne tayag diya – 2
Surajwanshi kul ke iss suraj ki ajab kahani hai – 2
Veer pratap ke jeevan ki dekho ye amar kahani hai

Din dharm ki baat na karke ek kadi me jod diya – 2
Inshn ko insan hi samjha kabi na koi bhed kiya – 2
Aan baan ki baate uski jan jan tak pauchani hai – 2
Veer pratap ke jeevan ki dekho ye amar kahani hai

Iss yug ke andiyare path ko phir pratap ka noor mile – 2
Bhamasha veeru rana aur phir hakim kha sur mile – 2
Unke aadarso ki humko ghar ghar jyot jagani hai – 2
Veer pratap ke jeevan ki dekho ye amar kahani hai
Aane waale nasalo ko ye gorav gatha sunani hai
Veer pratap ke jeevan ki dekho ye amar kahani hai