Mera Fauji Calling – Mera Aasmaan Hai Papa Song Lyrics

Singer : Shalini Prateek Sinha
Music by : Vijay Verma
Male : Hmm mm mm mmhmm mm
Hmm mm mm hm mm hmm mm
Female : Thaam ke ungli chalna shikhaya

Raah mein girke sambhalna sikhaya

Thaam ke ungli chalna shikhaya

Raah mein girke sambhalna sikhaya
Female : Naam diya pehchan humein di

Hum jo udde to udaan hamein di

Sapno ka jahaan hai papa

Mera aashmaan hai papa

Mera aashmaan hai papa
Female : Papa hai to bazaaro ke

Saare khilaune mere hai

Jo main dekh nahi paati hoon

Wo bhi sapne mere hai
Female : Papa hai to chhat hai sar pe

Ghar unse hi lagta hai

Papa ke bin jaao kahi to

Jaise mujhko darr lagta hai
Female : Kangan mein choodi mein bajte

Maathe bindi me sazate

Mummy ki mushkaan hai papa

Mera aashmaan hai papa

Mera aashmaan hai papa
Female : Main roun to mujhe hasa ke

Khushiyon se bhar dete hai

Mere aanshoo haath mein leke

Papa jugnu kar dete hai
Female : Rahte hai needon mein chhupke

Papa mujhme sote hai

Main bhi nahi hoti hoon jab to

Papa mujhme hote hain
Female : Papa jaisa koi nahi hai

Nahi hai waisa koi nahi hai

Khushiyon ka jahan hai papa

Mera aashmaan hai papa

Mera aashmaan hai papa
Female : Mera aashmaan hai papa