Mrityudaata – Apne Baap Ka Kya Song Lyrics

Music By : Anand – Milind
Singers : Sudesh Bhonsle
Chorus : Apne baap ka kya jaata hai

Apne baap ka kya jaata hai

Male : Kahi bandh kahi chhaka jam

Kar gaya koi kam tamam

Chorahe pe jal gayi bas

Do ko mar ke bhage das

Bich sadak pe nare baji

Pandit se takaraya kaji

Dharam aur mahajab ke naam pe

Koi dhandha karwata hai

Chorus : Koi dhandha karwata hai

Male : Apne baap ka kya jaata hai

Chorus : Koi dhandha karwata hai

Male : Arey apne baap ka kya jaata hai

Chorus : Apne baap ka kya jaata hai

Male : Apne baap ka kya jaata hai

Chorus : Apne baap ka kya jaata hai
Male : Bacha chhota bag bada hai

Kamar jhuki hai phir bhi khada hai

Usko education ne mara

Usko doneshan ne mara

Aaj ke dor me aage badana

Hai bada mushkil ab padana

Jiske pas nahi hai paisa

Wo kaha ab pad pata hai

Chorus : Wo kaha ab pad pata hai

Male : Apne baap ka kya jaata hai

Chorus : Wo kaha ab pad pata hai
Male : Arey apne baap ka kya jaata hai

Chorus : Apne baap ka kya jaata hai

Male : Arey apne baap ka kya jaata hai

Chorus : Apne baap ka kya jaata hai
Male : Gunde ka bhai inspector

Inspector ka jija loyar

Loyar ka nitha hai sala

Alag hai chabi par ek tala

Phir bhi hai bas mari mari

Jaye kaha janta bechari

Upar se lekar niche tak

 Har koi ab bhus khata hai

Chorus :Har koi ab bhus khata hai

Male : Apne baap ka kya jaata hai

Chorus :Har koi ab bhus khata hai

Male : Arey apne baap ka kya jaata hai

Chorus :Apne baap ka kya jaata hai

Male : Apne baap ka kya jaata hai

Chorus :Apne baap ka kya jaata hai
Chorus : tu tu tu tu
Male : Achha kam jo karne jao

Morache walo se takarao

Bap na hoga ma na hogi

Sapno ki duniya na hogi

Kale mukhade ho jayenge

Desh ke tukade ho jayenge

Ab bhi kya tu ye gayega

Sath mere jo ab gata hai
Male : Arey bolate kyu nahi hai

Apne baap ka kya jaata hai

Bolati band ho gayi kya

Apne baap ka kya jaata hai

Apne baap ka kya jaata hai