Naseeb (1998) – Seene Pe Rakh Ke Sar Ko Song Lyrics

Naseeb is a Govinda and Mamta Kulkarni starrer film directed by Kirti Kumar and released in 1997. It also has Saeed Jaffrey, Ajit Vachani, Beena Banerjee, Rahul Roy, and Shakti Kapoor in supporting roles. A poor man is asked by his girlfriend’s father to earn money, become rich, and then marry his daughter. The man agrees, and returns after five years as a successful person. But, until then its too late and his girlfriend is already married.

Album: Naseeb (1998)

Song: Seene Pe Rakh Ke Sar Ko


Lyrics

Seene pe rakh ke sar ko, kahin kho gaye the hum – (2)
The itane kareeb ke, ek ho gaye the hum

Seene pe rakhke sar ko, kahin kho gaye the hum
The itne kareeb ke, ek ho gaye the hum

Muddat ki pyaas thi tere honto ka ras piya
Tere hasin jism ko najaro se chhu liya
Jaadu bikherate thi samandar ki tar hawa
Sindur ban gaya tha har ek jarra ret ka
Aankhein khuli khuli thi magar so gaye the hum
The itane kareeb ke, ek ho gaye the hum
Seene pe rakhke sar ko, kahin kho gaye the hum
The itane kareeb ke, ek ho gaye the hum

Koyi na faasla raha saanson ke darmiyaan
Har baat ho rahi thi, khaamosh thi jubaan
Armaan simat rahe the bahaaron ki sej par
Ehsaas ki garmi thi, dono the bekhabar
Dono jahaan ko pal bhar bhala toh gaye the hum
(The itane kareeb ke, ek ho gaye the hum
Seene pe rakh ke sar ko, kahin kho gaye the hum) – (2)
The itane kareeb ke, ek ho gaye the hum
Kho gaye the hum, kho gaye the hum, kho gaye the hum
So gaye the hum