Once Upon Ay Time in Mumbai Dobaara! – Ye Tune Kya Kiya Song Lyrics

Ye Tune Kya Kiya Lyrics from Once Upon a Time in Mumbaai 2: The song is sung by Javed Bashir, composed by Pritam and lyrics are penned by Rajat Arora who also wrote the film.


Ishq woh bala hai
Ishq woh bala hai
Jisko chhuaa isne woh jala hai
Dil se hota hai shuru
Dil se hota hai shuru
Par kambakht sar pe chadha hai
Kabhi khud se, kabhi khuda se
Kabhi zamaane se lada hai
Itna hua badnaam phir bhi
Har zubaan pe ada haiIshq ki.. saazishein
Ishq ki.. baaziyaan
Haara main khel ke
Do dilon ka juaaKyun tune meri fursat ki
Kyun dil mein itni harqat ki
Ishaq mein itni barqat ki
Ye tune kya kiya..Phiru ab maara maara main
Chaand se bichhda taara main
Dil se itna kyun haara main
Ye tune kya kiya..Saari duniya se jeet ke main aaya hoon idhar
Tere aage hi main haara kiya tune kya asarMain dil ka raaz kehta hoon
Ke jab jab saansein leta hoon
Tera hi naam leta hoon
Ye tune kya kiyaMeri baahon ko teri saanson ki jo
Aadatein lagi hain waisi
Jee leta hoon ab main thoda aurMeri dil ki ret pe
Aankhon ki jo pade parchhai teri
Pee leta hoon tab main thoda aurJaane kaun hai tu meri
Main naa jaanu ye magar
Jahaan jaaun main karoon main wahaan
Tera hi zikarMujhe tu raazi lagti hai
Jeeti hui baazi lagti hai
Tabiyat taazi lagti hai
Ye tune kya kiyaMain dil ka raaz kehta hoon
Ke jab jab saansein leta hoon
Tera hi naam leta hoon
Ye tune kya kiyaDil karta hai, teri baatein sunu
Saude main adhoore chunu
Muft ka hua ye faayda
Kyun khud ko main barbaad karoon
Fanaa hoke tunhse miloon
Ishq ka ajab hai qaayda
Teri raahon se jo guzri hain meri dagar
Main aage badh gaya hoon thoda hoke be-fikarKaho toh, kis se marzi loon
Kaho toh, kis ko arzi doon
Hansta ab thoda farzi hoon
Ye tune kya kiyaMain dil ka raaz kehta hoon
Ke jab-jab saansein leta hoon….Ishq ki.. saazishein
Ishq ki.. baaziyaan
Haara main khel ke
Do dilon ka juaa


Singer: Javed Bashir

Lyricist: Rajat Aroraa

Music: Pritam