Param Vir Chakra (1995) – Mere Mehboob Mere Watan Song Lyrics

Param Vir Chakara is an action film based on Indo-Pakistan war. It was premiered in March 1995 in Mumbai. The movie opens with the scene of National Defense Academy where three young guys are undergoing training to become officers in each wing of the Indian defense service. They all love the same girl and wanted to propose her. They decide to do so on her birthday party. At the same time, war breaks, and they have to leave back their wish for the sake of the country.

Album: Param Vir Chakra (1995)

Song: Mere Mehboob Mere Watan


Lyrics

Deh shiva war mohe ehe shub karman te kab hu na karo
Na daro aur so jab jaaye ??, nishchay hi apani jeet karo

Vande maataram vande maataram vande maataram vande maataram…
My first love, my nation, nation nation great nation – (2)
O ho ho ho o o….
Mere mehboob mere watan tujhape kurbaan main jaanemann
Hum teri bulbule nagama jan tu hamaara hai pyaara chaman
Mere mehboob mere watan tujhape kurbaan main jaanemann

Meri kismat badi hai ke main, sarhado ka nigehbaan hoon
Nile ambar ki raksha karu, main sitaaro ka mehmaan hoon
Maine saagar ki raksha ka nishchay kiya – (2)
Tere saagar ka main ik ratan
Mere mehboob mere watan tujhape kurbaan main jaanemann
Hum teri bulbule nagama jan tu hamaara hai pyaara chaman

Sun le duwa maan ke do jahaan leke ummidein badi hum aaye yahaan

Jo huye sarhado ko rawaan, apani mehboob ki chaah mein
Pyaar mamata na aaye kabhi unaki kartavya ki raah mein
Kaamyaabi ka sera bandhe unake sar – (2)
Sar se baandhe chale jo kafan
Jinaka mehboob hai yeh watan, rang laayegi unaki lagan
Mere mehboob mere watan tujhape kurbaan main jaanemann

Unaki aankhon mein nindein kahaan, jo bandhe hai teri chaah se
Tujh tak aane na denge kabhi, dushmano ko kisi raah se
Teri khaatir hamesha hi sajati rahi – (2)
Jaan nisaaron ki yeh anjuman
Mere mehboob mere watan tujhape kurbaan main jaanemann
Hum teri bulbule nagama jan tu hamaara hai pyaara chaman
Yaaron lo wida pyaaron lo wida – (2)

Shaayar-e-mulk ikbaal ne sab se achchha bataaya tujhe
Sab se achchha bataaya tujhe
Aur bamkin ne likh wandana sheesh apana jhukaaya tujhe
Sheesh apana jhukaaya tujhe
Desh bhakto ke geeton ki iss bheed mein – (2)
Main bhi laaya hoon le ik suman
Mere mehboob mere watan tujhape kurbaan main jaanemann
Hum teri bulbule nagama jan tu hamaara hai pyaara chaman
Vande maataram vande maataram vande maataram vande maataram…