Parineeta – 1953 – Chalee Raadhe Raanee Song Lyrics

Parneeta is a 1953 story of two families neighbour to each other. While one is rich, the other is poor. When the latter has to marry one of their daughters, they mortgage their house to the former. Meanwhile, love is already brimming between the girl and the boy from both these families. In this love story, a third person enters who offers loan without interest in order to free the house from mortgage. This, creates a misunderstanding that the girl has been sold to that man.

Album: Parineeta – 1953

Song: Chalee Raadhe Raanee


Lyrics

Chalee raadhe raanee, ankhiyo me paanee – (2)
Apane mohan se mukhada modake – (2)
Chalee raadhe raanee, ankhiyo me paanee
Apane mohan se mukhada modake
Maan bharee, abhimaan bharee – (2)
Nirmohee se, nirmohee se naata todke
Apane mohan se mukhda modake, chalee radhe raanee

Ho…. jamuna ke tat pe, bansee ke bat pe
Natkhat ne usako gher liya, dekho natkhat ne usako gher liya
Ghunghat ke pat se jhanke jhatpat, radha ne bhee munh pher liya
Dekho radha ne bhee munh pher liya
Baato hee baato me jhagda phaya aisa – (2)
Baho ke bandhan todke, ho chalee baho ke bandhan todke
Apane mohan se mukhda modake
(Chalee raadhe raanee, ankhiyo me paanee
Apane mohan se mukhda modke, chalee radhe raanee) – (2)

Chhaliya mohan, radhe bholee – (2)
Saawariya ne kee jo tipolee – (2)
Saawariya sawariya, sawariya ne kee jo tipolee
Naa kuchh dolee, naa kuchh bolee
Radhe naa kuchh dolee, naa kuchh bolee
Naa hee do ankhiya kholee – (2)
Madhuban kee galiya chhodke, ho madhuban kee galiya chhodke
Apane mohan se mukhda modake
(Chalee radhe raanee, ankhiyo me paanee
Apne mohan se mukhda modke, chalee radhe raanee) – (2)