Parvarish (1958) – Looti Jindagi Aur Ghum Muskuraaye Song Lyrics

Parvarish is a 1958 family drama movie starring Raj Kapoor, Mala Sinha, Mahmood, and Nasir Hussain. It is a story about a wealthy Thakur, who has to raise a prostitute’s son along with his own son since an accident during the birth of both the child renders identification impossible. Perhaps, the concept of DNA was not involved at that time. Anyway, though both the children receive same types of consecration, the Thakur’s own son becomes a gambler and a habitual drinker.

Album: Parvarish (1958)

Song: Looti Jindagi Aur Ghum Muskuraaye


Lyrics

Jahaanwaale tere ghar charaag jalate hain
Hamaare dil mein magar dil ke daag jalate hain
(Looti jindagi aur ghum muskuraaye
Tere iss jahaan se hum baaj aaye) – (2)
Looti jindagi

Gale humase milkar khushi ro rahi hai – (2)
Chaman has raha hai kali ro rahi hai – (2)
Haay…
Dhali ik pal mein bahaaron ke saaye
Tere iss jahaan se hum baaj aaye
Looti jindagi

Giri bijaliya ghar banaane se pehale – (2)
Jala aashiyaana sajaane se pehale – (2)
Haay….
Ajab hai jamaana banaakar mitaaye
Tere iss jahaan se hum baaj aaye
Looti jindagi aur ghum muskuraaye
Tere iss jahaan se hum baaj aaye
Looti jindagi