Patanga – Dil Se Bhula Do Tum Hame Song Lyrics
Patanga is a 1949 film directed by Harnam Singh Rawail. It starred Nigar Sultana, Shyam, Ajit, Shyama, Rajendra Nath, Raj Mehra, Gope, and Purnima in important roles. The story is focused on four characters – a traffic constable, an aspiring actress, a film producer, and an established actor. When all these four characters meet with each other, laugh, emotions, and music erupt.
Album: Patanga
Song: Dil Se Bhula Do Tum Hame
Lyrics
Dil se bhula do tum hame, ham naa tumhe bhulaayenge
Ruth ke jaanewaale, ham duniya se ruth jaayenge
Ham naa tumhe bhulaayenge
Najaro se kyun gira diya, tumne kisee gharib ko
Kaise manaayega koyee, ruthe huye nasib ko
Tum ne diye jo dil ke daagh, kaise unhe chhupaayenge
Ruth ke jaanewaale……
Tumne hame mita diya, tumse kahe toh kya kahe
Maana ke bewafa ho tum, phir bhee naa bewafa kahe
Tumne jo kahana tha kah chuke, ham yahee kahate jaayenge
Ruth ke jaanewaale……