Patanga – Mere Piya Gaye Rangun Song Lyrics

Patanga is a 1949 film directed by Harnam Singh Rawail. It starred Nigar Sultana, Shyam, Ajit, Shyama, Rajendra Nath, Raj Mehra, Gope, and Purnima in important roles. The story is focused on four characters – a traffic constable, an aspiring actress, a film producer, and an established actor. When all these four characters meet with each other, laugh, emotions, and music erupt.

Album: Patanga

Song: Mere Piya Gaye Rangun


Lyrics

Hello hindustan kaa dehradun?
Hello mai rangun se bol raha hu
Mai apni biwee renukadevi se bat karna chahata hu han han

Mere piya, ho (mere piya gaye rangun, kiya hai vahan se telephone
Tumharee yad satatee hai, jiya me aag lagatee hai) – (2)

Ham chhod ke hindustan bahut pachhtaye
Hui bhul jo tumako sath naa lekar aaye
Ham burma kee galiyo me aur tum ho dehradun
Tumharee yad satatee hai, jiya me aag lagatee hai

Meree bhukh pyas bhee kho gayee gham ke mare
Mai adhmui see ho gai gham ke mare
Tum bin sajan, janvari farvari ban gaye mayi aur june
Tumharee yad satatee hai jiya me aag lagatee hai

Ajee tumse bichhadke ho gaye ham sanyasee
Kha lete hain jo mil jaye rukhee sukhee basee
Ajee lungee bandh ke karen gujara bhul gaye patlun
Tumharee yad satatee hai jiya me aag lagatee hai