Patita (1980) – Is Zamane Me Hai Badnasibi Buri Song Lyrics

Patita is the story of a young woman who is forced into prostitution after the death of her parents. Her school going brother also dies in an accident. A college student later falls in love with her and wins her heart. Amidst all family pressure and social obligations, the student marries her and restores her dignity.

Album: Patita (1980)

Song: Is Zamane Me Hai Badnasibi Buri


Lyrics

Is zamane me hai badnasibi buri
Badnisibi se bhi ye garibi buri
Bik gayi sharam ki ek chilman thi jo
Kal talak shahibo dil ki dhadkan thi jo
Aaj wo ghunghru ke sada ban gayi
Mai khata ban gayi mai saja ban gayi – 2
Mai to thi ek dua bad dua ban gayi – 2
Mai khata ban gayi mai saja ban gayi

Mai to bachpan ki thi ek kahani abhi – 2
Mujhpe aayi na thi ye jawani abhi
Meri takdir yu meri dusman bani
Na mai sajni bani na mai dulhan bani
Usse pahle
Usse pahle hi mai dilruba ba nayi
Mai khata ban gayi mai saja ban gayi
Mai to thi ek dua bad dua ban gayi
Mai khata ban gayi mai saja ban gayi

Jane kis bhul ki yad khoyi hu mai – 2
Yad karke ise kitna royi hu mai
Sochti hu kabhi kya mai insan hu
Ayine dekhke mai to hairan hu
Kya thi ye
Kya thi ye jindagi or kya ban gayi
Mai khata ban gayi mai saja ban gayi
Mai to thi ek dua bad dua ban gayi
Mai khata ban gayi mai saja ban gayi

Mere sar pe bade sakht ilzam hai – 2
Mere dil pe likhe saikdo nam hai
Na kisi ne kiya pyar mujhse kabhi
Na kisi se kiya pyar maine abhi
Mai bhala
Mai bhala kis tarah bewafa ban gayi
Mai khata ban gayi mai saja ban gayi
Mai to thi ek dua bad dua ban gayi
Mai khata ban gayi mai saja ban gayi