Raaste Pyar Ke (1982) – Main Tum Mein Sama Jaau Song Lyrics

Raste Pyar Ke is family drama released in February 1982. It was produced and directed by V. B. Rajendra Prasad, who is well-known in the South film industry. Since Jeetandra had enjoyed a good rapport with directors from the south, he was the obvious choice for the movie. To play his heroines, the director cast Rekha and Shabana Azmi. Other characters included Shreeram Lagoo and Utpal Dutta.

Album: Raaste Pyar Ke (1982)

Song: Main Tum Mein Sama Jaau


Lyrics

(Yeh waqt na kho jaaye, bas aaj yeh ho jaaye
Main tum mein sama jaau, tum mujhame sama jaao – (2)) – (2)

Bechaini ki dheemi dheemi iss aag mein dil jal jaayega – (2)
Saawan ka rasta na dekho saawan jaane kab aayega – (2)
Ban jaao tum baadal mausam par chha jaao
Main tum mein sama jaau, tum mujhame sama jaao

Meri aankhon mein waade hain, tere honto pe kasame hai – (2)
Inn waadon se in kasamon se pehale duniya ki rasme hain
Duniya ki rasmon ko tum tod ke aa jaao
Main tum mein sama jaau, tum mujhame sama jaao – (2)

Julfon ke reshami saaye mein sapano ki sej sajaane do – (2)
Chhodo aanchal emri tauba mujhako waapas ghar jaane do – (2)
Jaana hai toh iss dil ki yeh pyaas bujha jaao
Main tum mein sama jaau, tum mujhame sama jaao
Yeh waqt na kho jaaye, bas aaj yeh ho jaaye
Main tum mein sama jaau, tum mujhame sama jaao – (2)