Raghav – Identity (2009) – Matwaale Nainowaali Song Lyrics

Album: Raghav – Identity (2009)

Song: Matwaale Nainowaali


Lyrics

Na na na na nainowaali…..

Yeh aawaara machalate baadal keh denge dil ki baat
Aankhon ki masti ke kaajal na chhupaayenge koyi raaj
Tere naam se judi hai mere kismat ki dor
Mausam ka har ishaara mujhe khinche teri or
Aise jhumake aaya hai behlaane tera pyaar
Mujhe bhulane na dega tere najaron ka vaar
Matwaale nainowaali… – (4)
Na na na na nainowaali….. – (4)
Are o jaane jaan
Yeh khilkhilaati kaliyaan laaye honto pe muskaan
Thadthadaate haathon mein chhede dil ke taar
Ghir ghir aaya saawan lekar nayi bahaar
Alhad pawan ke jhonke umade baar baar
Aise jhumake aaya hai behlaane tera pyaar
Mujhe bhulane na dega tere najaron ka vaar
Matwaale nainowaali… – (4)
Na na na na nainowaali….. – (4)

Are o jaane jaan
Matwaale nainowaali…