Rail Ka Dibba – La De Mohe Baalama Song Lyrics

This Bollywood movie released in the year 1953 and was directed by Mr P.N Arora under the banner of All India Pictures. The star cast for the film is inclusive of Shammi Kapoor and Madhubala in the lead roles along with Yasmin, Om Prakash, Sajjan, Cuckoo, Ram Avtar, Jayant, Pratima Devi, Amar and Manju in supporting characters.

Album: Rail Ka Dibba

Song: La De Mohe Baalama


Lyrics

La de mohe baalama aasamaani choodiyaan,
Ji aasamaani choodiyaan, o o o
Dil ko mere bhaayen na ye puraani choodiyaan,
Ji ye puraani choodiyaan, la de mohe baalama …

Aji bharake nazar dekh lo idhar choodiyon ki tum karo na fikar
Bhool na jaana dil ko lekar ghaayal man hai, zakmi jigar
Jab se ladi tum se nazar ham hain udhar tum ho jidhar
Aao ji kar le mil ke guzar duniya ko ho na magar
Tere mere dil ki kabar
Tere liye laaoonga man lubhaani choodiyaan,
Ji man lubhaani choodiyaan, la de mohe baalama …

Bhole piya mera jiya tum ne liya hai -2
Aji tum ne hamen, ham ne tumhen pyaar kiya hai -2

Tumhen chhod ke balam jaayenge na ham khaaye hue hain pyaar ki qasam
Roega na dil khaayenge na gam, koi na hoga dil pe sitam
Tum hi piyaa, tum hi sanam, rakhana meri laaj sharam
Tere hi dam se hai mera dam laagi ho dekho na kam
Saath milake chham-chhamaa-chham
De de mujhe pyaar ki tu nishaani choodiyaan
Ji tu nishaani choodiyaan

La de mohe baalama aasamaani choodiyaan, o o o
Ji aasamaani choodiyaan
Tere liye laaoonga man lubhaani choodiyaan,
Ji man lubhaani choodiyaan