Raja Aur Runk – Mera Naam Hai Chameli, Main Hu Malan Abeli Song Lyrics

This Bollywood movie released in the year 1968 and was directed by Mr Kotayya Pratyagatma. The star cast of the film is inclusive of Kumkum and Sanjeev Kumar in the lead roles. The film has been adapted from the novel titled “The Prince and the Pauper” penned by Mark Twain. The music composition for the songs penned by Mr Anand Bakshi is done by duo Laxmikant and Pyarelal.

Album: Raja Aur Runk

Song: Mera Naam Hai Chameli, Main Hu Malan Abeli


Lyrics

(Mera naam hai chameli, main hu malan abeli
Chali aayi main akeli bikaner se) – (2)
O daaroga baabu bolo, jara darwajja toh kholo
Khadi hu main darwajje pe badi der se
Mera naam hai chameli, main hu malan abeli
Chali aayi main akeli bikaner se

Main baagon se chun chun ke laayi champa ki kaliya – (2)
Yeh kaliya bichhake main saja du teri galiya
Re akhiya mila mere akhiyo se
Ho main phulon ki raani main bahaaron ki saheli
Mera naam hai chameli, main hu malan abeli
Chali aayi main akeli bikaner se
O daaroga baabu bolo, jara darwajja toh kholo
Khadi hu main darwajje pe badi der se

Mera manwa aise dhadake jaise dole naiya – (2)
O bedardi o harjaayi o baake sipaiya
Re ghungata mera taine kyun khola
O main aisi sharmaayi jaise dulhan nayi naveli
Mera naam hai chameli, main hu malan abeli
Chali aayi main akeli bikaner se
O daaroga baabu bolo, jara darwajja toh kholo
Khadi hu main darwajje pe badi der se
Mera naam hai chameli, main hu malan abeli
Chali aayi main akeli bikaner se