Ram Balram (1980) – Yaar Ki Khabar Mil Gayi Song Lyrics

After the mega-hit of Sholay, Dharmendra and Amitabh Bachchan were brought together to spell magic on audiences in Ram Balram once again. This movie was released after five years (1980) from the release of Sholay. Along with the two super stars of that time, the film also had powerful villains in Ajit, Amjad Kahn and Prem Chopra. Jeenat Aman and Rekha acted as the ladylove for the main heroes.

Album: Ram Balram (1980)

Song: Yaar Ki Khabar Mil Gayi


Lyrics

Oho ohoh oho – 2

(He yaar ki khabar mil gayi gayi
Pyar ki nazar mil gayi gayi
Door thi bahut manzil apni
Pas hi magar mil gayi gayi
Ohho) – (2)

(Aisa hai sama ki hum dil lage thamne
Jane kya paiyam diya hume is sham ne) – (2)
Bada tadpaya mera dil kisi naam ne
Aaya woh makam ab nazro ke samne
Nazro ke samne – 2
Unki gali bhi hume mil jayegi
Jinki dagar mil gayi gayi
Yaar ki khabar mil gayi gayi
Pyar ki nazar mil gayi gayi
Door thi bahut manzil apni
Pas hi magar mil gayi gayi

Aate jate rasto me yaro se ye pucha
Ek hi sawal tha hazaro se ye pucha
Kaha pe woh phul hai baharo se ye pucha
Kaha pe woh chand sitaro se ye pucha
Sitaro se ye pucha – 2
Raat bhar hum jise dhundhte rahe
Ab woh saher mil gayi gayi oh hooo

(Rasta bhula na de khushi manzil ki
Sar pe khadi hai jo ghadi hai mushkil hai) – (2)
Humse ladi hai aankhe kis katil ki
Hogi mulakat kab dil se dil ki
Dil se dil ki – 2
Dil bhi kabhi na kabhi mil jayenge
Aankh agar mil gayi gayi
Yaar ki khabar mil gayi gayi
Pyar ki nazar mil gayi gayi
Door thi bahut manzil apni
Pas hi magar mil gayi gayi