Ram Teri Ganga Maili – Tujhe Bulayen Yeh Meri Baahen Song Lyrics

Ram Teri Ganga Maili is Raj Kapoor’s film featuring his son, Rajiv Kapoor and Mandakini in lead roles. The film is produced, directed, and co-written by Raj Kapoor along with V. P. Sathe, K. K. Singh, and Jyoti Swaroop. It was a blockbuster movie of 1985 that had strong storyline, meaningful dialogues, and excellent music. It was also one of the controversial movies of that time because of bathing and breast-feeding scenes of the main lead.

Album: Ram Teri Ganga Maili

Song: Tujhe Bulayen Yeh Meri Baahen


Lyrics

Tujhe bulaaye yeh meri baahen
Na aaisi ganga kahi milegi
Main tera jeevan main teri kismat
Ke tujhko mukti yahi milegi
(Mere hi paas tujhe aana hai
Tere hi saath mujhe jaana hai) – 2
Ganga yeh teri hai
Phir kaisi deri hai aaja re
Aaja re ab aa bhi jaa
Tu aa bhi jaa ho ho ho aa bhi jaa

Pahadiyon ki bulandiyon se
Kabhi kanaro ki darmiyaan se
Kabhi nazar se kabhi zubaan se
Tujhe pukara kaha kaha se
(Tu jiski khoj mein aaya hai
Woh jisne tujhko bulaya hai) – 2
Parvat ke peechhe hai
Jharne ke peechhe hai aaja re
Aaja re ab aa bhi jaa
Tu aa bhi jaa o o o a bhi jaa

(Kohre ki chaadar lapete hu
Paani mein khud ko samete hu) – 2
Baahon ke ghere mein
Mann ke basere mein aaja re
Aaja re ab aa bhi jaa
Tu aa bhi jaa o o o a bhi jaa

Suno toh ganga yeh kya sunaye
Ke mere tatt par woh log aaye
Jinhone aaise niyam banaye ke
Praan jaaye par vachan na jaaye
(Vaaden pe tere bharosa hai
Main jaanti hu tu mera hai) – 2
Jab tak na aayega
Dil mera gaayega aaja re
Aaja re o sahiba
O sahiba o sahiba