Rangeela (1995) – Yaaron Sun Lo Zara Haan Apna Ye Kehna Song Lyrics

Rangeela is one of the hit movies of Ram Gopal Varma. It had Aamir Khan, Jackie Shroff and Urmila Matondkar in the mainstream. It hit the silver screen in September 1995 and received overwhelming response from audience. Aamir Khan gave a scintillating performance and expected a Filmfare award for his role. However, that didn’t happen and since then he gave up attending award functions.

Album: Rangeela (1995)

Song: Yaaron Sun Lo Zara Haan Apna Ye Kehna


Lyrics

Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Jeena ho to appun ke jaise hi jeena
Gaadi bangla nahin na sahi na sahi bank balance nahin na sahi na sahi
Tv video nahin na sahi na sahi suiting shirting nahin na sahi na sahi
Inki humko kyon ho fikar jee lo jaise mast kalandar
Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Jeena ho to appun ke jaise hi jeena
Gaadi bangla agar ho to kya baat hai
Bank balance se rangeen din raat hai
Tv video agar hai to kya hai maza
Dressing hessing se kuchh aur thaath hai
Inki karlo kuchh to kadar yaaro thoda jaao sudhar
Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Jeena ho to appun ke jaise hi jeena

Humko dekho hum hain yaara apni marzi ke raaja
Duniya bole to maza hai na kaho khud ko raaja
Naam appun ka munna bhai hum kmarein vo jo dil mein samaaye
Arre dhanda kiya na kiya kya fikar
Kaun aaya gaya duniya mein kya khabar
Is duniya se tum jo rahe bekhabar kabhi duniya tumhein na bhulaaye
Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Jeena ho to appun ke jaise hi jeena
Gaadi bangla nahin na sahi na sahi bank balance nahin na sahi na sahi
Tv video nahin na sahi na sahi suiting shirting nahin na sahi na sahi
Inki karlo kuchh to kadar yaaro thoda jaao sudhar

Kal ka kya hai kisne dekha hum to aaj mein jeete hain
Jinmein himmat hai nahin vo aisi baatein karte hain
Uski to tum baat na karna humko dada sub kehte hain
Arre sheron ke jaisa hai apna jigar ooncha hi raha hai sada apna sar
Sar se jyaada oonchi rahe ye nazar aasmaan bhi to sar ko jhukaye
Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Jeena ho to appun ke jaise hi jeena
Gaadi bangla agar ho to kya baat hai
Bank balance se rangeen din raat hai
Tv video agar hai to kya hai maza
Dressing hessing se kuchh aur thaath hai
Inki humko kyon ho fikar jee lo jaise mast kalandar
Yaaron sun lo zara haan apna ye kehna
Hey jeena ho to appun ke jaise hi jeena