Saare Jahaan Se Mehnga – Bolo Na Song Lyrics

Saare Jahaan Se Mehnga is a 2013 film dealing with the main issue every common Indian is facing today – inflation. It is set in a city of north India and is concerned with a lower middle- class family struggling to cope with the rising prices of goods and commodities. Adding to their worries is an unemployed member busy in playing with his cell phone and dreaming about girls.

Album: Saare Jahaan Se Mehnga

Song: Bolo Na


Lyrics

Dhoop bhi abb meethi lagti hai
Raat mere sang sang jagti hai
Kyu bolo na
Waqt yunhi tham tham jaata hai
Rang fizaa mein rang jaata hai
Kyu bolo na
Kya tere saath bhi hoti woh baat hai
Jo mere saath hai bolo na
Dhoop bhi abb meethi lagti hai
Raat mere sang sang jagti hai
Kyu bolo na

Raahon pe abb gaur nahi hai
Naa hai bheed mein shor
Sirf hami hai iss duniya mein
Hai nahi koi aur
Yeh jaadu hai jaane kaisa
Nahi hai kuch bhi pehle jaisa
Kyu bolo na

Jaane kaisi yeh baichaini hai
Jis mein hai bus sukoon
Keh dala jab sab aakhon ne
Lafzon mein abb kya kahu
Mera bhi toh haal wohi hai
Tune jo har baat kahi hai
Haan dekho na

Jaane kaisi yeh halchal hai
Jo seene mein ab har pal hai
Haan dekho na
Haan mere saath bhi
Hoti woh baat hai
Jo tere sath bhi
Hai naa
Bolo na – 2