Sadak – Tumhein Apna Banane Ki Kasam Song Lyrics

Music By : Nadeem Shravan
Singers : Kumar Sanu, Anuradha Paudwal
Male : Tumhein apna banaane ki kasam

Khaai hai, khaayi hai

Tumhein apna banaane ki kasam

Khaayi hai, khaayi hai

Teri aankhon mein chaahat hi nazar

Aayi hai, aayi hai
Female : Tumhein apna banaane ki kasam

Khaayi hai, khaayi hai

Mohabbat kya hai main sab ko bata doongi

Mohabbat kya hai main sab ko bata doongi

Zamaane ko tere aage jhuka doongi

Teri ulfat meri jaana voh rang

Laayi hai, laayi hai

Teri ulfat meri jaana voh rang

Laayi hai, laayi hai
Male : Tumhe apna banaane ki kasam

Khaayi hai, khaayi hai
Male : Tere honton se main shabnam churaaoonga

Tere honton se main shabnam churaaoonga

Tere aanchal tale jeevan bitaaoonga

Meri nas nas mein tu banke lahoon

Samaayi hai, samaayi hai

Meri nas nas mein tu banke lahoon

Samaayi hai, samaayi hai
Female : Tumhe apna banaane ki kasam

Khaayi hai, khaayi hai

Teri Bahon Mein hai

Dona Jahan Mere

Teri Bahon Mein hai

Dona Jahan Mere

Main kuch bhi to nahi

Dilbar siva tere

Tujhe pake jamane ki khushi

Paayi hai Paayi hai

Tujhe pake jamane ki khushi

Paayi hai Paayi hai
Male : Tumhe apna banaane ki kasam

Khaayi hai, khaayi hai.

Teri aankhon mein chaahat hi nazar

Aayi hai, aayi hai
Female : Tumhein apna banaane ki kasam

Khaayi hai, khaayi hai