Saina – Parinda Song Lyrics

Singer : Amaal Mallik
Music by : Amaal Mallik
Male : Jalna bujhna bujh ke jalna

Marna jeena mar ke jeena

Maangne wali cheez nahi yeh

Mauka uska jisne chheena
Male : Girna uthna uth ke chalna

Chadh jaa ambar zeena zeena

Yaad rahe yeh shart safar ki

Peechhe mud ke dekh kabhi na
Male : Jeet ka junun hai to

Haar sochna kyun

Jab zindagi hai ek hi

Do baar sochna kyun
Male : Main parinda kyun banu

Mujhe aasmaan ban-na hai

Main ek panna kyun rahun

Mujhe daastan ban-na hai

Main parinda kyun banu

Mujhe aasmaan ban-na hai
Male : Koyi to wajah hai

Jo zid pe addi hai yeh dhadkane

Yehi to wajah hai

Kiya jo kisi ne nahi hum kare
Male : Koyi to wajah hai

Jo zid pe addi hai yeh dhadkane

Yehi to wajah hai

Kiya jo kisi ne nahi hum kare
Male : Talwaar hath mein tere

De maar sochna kyun?..

Jab zindagi hai ek hi

Do baar sochna kyun?…
Male : Main parinda kyun banu

Mujhe aasmaan ban-na hai

Main ek panna kyun rahun

Mujhe daastan ban-na hai
Male : Sooraj aankh dikhaa le aaj

Kal teri aankh jhukani hai

Tere andar hai jitni aag

Yahaan usse bhee dugani hai
Male : Sooraj aankh dikhaa le aaj

Kal teri aankh jhukani hai

Tere andar hai jitni aag

Yahaan usse bhee dugani hai
Male : Talwaar haath mein hai tere

De maar sochna kyun?..

Jab zindagi hai ek hee

Do baar sochna kyun?..
Male : Main parinda kyun banu

Mujhe aasmaan ban-na hai

Main ek panna kyun rahun

Mujhe daastan ban-na hai

Main parinda kyun banu

Mujhe aasmaan ban-na hai