Samjhauta (1973) – Badi Door Se Aaye Hain – I Song Lyrics

Samjhauta is a story of a young, talented but poor guy from a village who is forced by his sister to go to city and explore his singing talent. He is then helped by a friend in the city. Unfortunately, an accident snatches away his eyesight. His friend then resorts to illegal methods just to earn money and help him, but get caught. The movie full of drama was released in 1973, and the title song sung by Mohd. Rafi is a big hit even today.

Album: Samjhauta (1973)

Song: Badi Door Se Aaye Hain – I


Lyrics

Badi dur se aaye hai, pyaar ka tofa laaye hain – (2)
Apana lo ya thukara do, pyaar ka tofa laaye hain
Badi dur se aaye hai, pyaar ka tofa laaye hain

Jo dilon ke nate hain woh jode nahi jaate – (2)
Jod liye toh… phir tode nahi jaate
Yeh naate, yeh naate
Yeh naate dil mein basaaye hain, pyaar ka tofa laaye hain
Badi dur se aaye hai, pyaar ka tofa laaye hain

Anjaane logo mein koyi saathi toh milega – (2)
Koyi toh hoga jo hamako samjhega
Yeh sapana, yeh sapana
Yeh sapana dil mein sajaaye hain, pyaar ka tofa laaye hain
Badi dur se aaye hai, pyaar ka tofa laaye hain

Hm yaar hai yaaron ke nibha denge yaari, kya samajhe bachche
Hm yaar hai yaaron ke nibha denge yaari
Yaari hai hamako saari duniya se pyaari
Apana toh dil hai saada phir bhi hai atal iraada
Hai jaan se pyaara waada, waada kabhi na todenge
Jite ji hum yaaron ka saath na chhodenge – (2)
Sahaare sahaare sahaare yaaron ke paaye hain
Pyaar ka tofa laaye hain
Badi dur se aaye hai, pyaar ka tofa laaye hain