Sanam Re – Kya Tujhe Ab Ye Dil Bataye Song Lyrics

Kya Tujhe Ab Ye Dil Bataye Lyrics from Sanam Re starring Pulkit Samrat and Yami Gautam, The song is sung by Falak Shabir, composed by Amaal Mallik while Mere ander khudko bhar de lyrics penned by Manoj Muntashir.


Kya tujhe ab ye dil bataye
Tujhpe kitna mujhe pyaar aaye
Aansuon se likh doon main tujhko
Koi mere bin padh hi naa paaye Yoon rahun chup, kuch bhi na bolun
Barson lambi neendein so loon
Jin aankhon mein tu rehta hain
Sadiyon tak wo aankhen na kholun Mere ander khudko bhar de
Mujhko mujhse khaali kar de (x2) Jis shaam tu naa miley
Woh shaam dhalti nahi
Aadat si tu ban gayi hai
Aadat badalti nahi.. Kya tujhe ab ye dil bataye
Tere bina kyun saans na aaye
Aansuon se likh doon main tujhko
Koi mere bin padh hi naa paaye Mere ander khudko bhar de
Mujhko mujhse khaali kar de (x2) Haathon se girne lagi
Har aarzoo har duaa
Sajde se main uth gaya
Jis pal tu mera hua (x2) Kya tujhe ab ye dil bataye
Kyu teri baahon mein hi chain aaye
Aansuon se likh doon main tujhko
Koi mere bin padh hi naa paaye Mere ander khudko bhar de
Mujhko mujhse khaali kar de (x2) Aa…
O o aa o..


Singer: Falak Shabir

Lyricist: Manoj Muntashir

Music: Amaal Mallik