Shivaay – Bolo Har Har Har Song Lyrics

Singers : Mithoon, Mohit Chauhan, Sukhwinder Singh, Badshah,
Megha Sriram Dalton, Anugrah and The Vamps
Music by : Mithoon
Male : Aag bahe teri rag mein

Tujhsa kaha koi jag mein

Hai waqt ka tu hi toh pehla pehar

Tu aankh jo khole toh dhaye kehar
Chorus : Toh bolo har har har

Toh bolo har har har

Toh bolo har har har
Male : Naa aadi naa ant hai uska

Woh sabka na inka unka

Wohi hai maala wohi hai manka

Mast malang woh apni dhun ka
Male : Jantar mantar antar gyani

Hai sarvagya swabhimani

Mrityunjay hai mahaavinaashi

Omkaar hai issiki vaani

Isiki isiki vaani
Male : Bhaang dhatoora bel ka patta

Teeno lok ussi ki satta

Vish peekar bhi adek amar hai

Mahadev har har hai japta
Male : {Wahi shunya hai wahi ikaye} (3)

Jiske bheetar basa shivaay hai
Male : Toh bolo har har har

Toh bolo har har har
Male : Aghoranna paro mantra

Nasthi tatvam guro param
Female : Mahadeva nagendra haraya trilochanaya

Basmanga ragaya maheswaraya

Nithyaya shudhaya digambaraya

Tasmai nakaraya namashivaya
Female : {Shiva rakshyamam

Shiva pahimam

Shiva trahimam} (2)
Female : Mahadev ji trahimam pahimam

Sharnagatam pahimam

Shiva rakshamam

Shiva pahimam shiva
Male : Aankh moond kar dekh raha hai

Sath samay ke khel raha hai

Mahadev maha ekaki

Jiske liye jagat hai jhanki
Male : Jata mein ganga chaand mukut hai

Somya kabhi kabhi bada vikat hai

Aag se janma hai kailashi

Shakti jiski daras ki pyasi

Hai pyaasi haan pyaasi
Male : Ram bhi uska raavan uska

Jeevan uska maran bhi uska

Taandav hai aur dhyaan bhi woh hai

Agyaani ka gyaan bhi woh hai
Male : Ankh teesri jab ye khole

Hile dhara aur swarg bhi dole

Goonj uthe har disha kshitij mein

Naag usi ka bam bam bhole
Male : {Wahi shunya hai wahi ikaye} (3)

Jiske bheetar basa shivaay hai
Male : Tu hi shiva tujhme ishvar

Koi nahi yahan tere sivaa

Uda raakh agni ko jwala tu kar

Mita de andhere tu ban ke sehar
Male : Toh bolo har har har

Toh bolo har har har
Chorus : {Ja ja ke kailash ja kar vinaash} (4)
Male : Toh bolo har har har
Male : Aankh moond kar dekh raha hai

Sath samay ke khel raha hai

Mahadev maha ekaki

Jiske liye jagat hai jhanki
Male : Jata mein ganga chaand mukut hai

Somya kabhi kabhi bada vikat hai

Aankh se janma hai kailashi

Shakti jiski daras ki pyaasi
Male : Toh bolo har har har
Female : Yaksha swaroopaya jatta dharaya

Pinaka hasthathaya sanathanaya

Divyaya devaaya digambaraya

Tasmai yakaraya namashivaya