Taj Mahal – Khudaaye Bartaar Teree Jamin Par Song Lyrics

This Bollywood movie released in the year 1963 and was based on Shah Jahan – The Mughal Emperor’s historical legend. According to this legend, the Emperor created Taj Mahal in the fond memory of his beloved queen Mumtaz Mahal. The film was a huge hit and mostly remembered for the music composed by Roshan. The star cast for the film is inclusive of Bina Rai, Pradeep Kumar, Rahman and Veena in pivotal roles.

Album: Taj Mahal

Song: Khudaaye Bartaar Teree Jamin Par


Lyrics

Khudaaye bartaar teree jamin par
Jamin kee khaatir yeh jang kyon hai
Har ek fataho jafar ke daaman pe
Khune insaan kaa rang kyon hai
Khudaaye bartaar teree jamin par
Jamin kee khaatir yeh jang kyon hai

Jamin bhee teree, hain ham bhee tere
Yeh milkiyat kaa savaal kya hai
Yeh katlo khun kaa rivaaj kyon hai
Yeh rasme jango jadal kya hai
Jinhe talab hai jahan bhar kee
Unhee kaa dil itana tang kyon hai
Khudaaye bartaar teree jamin par
Jamin kee khaatir yeh jang kyon hai

Gharib maano sharif behano ko
Amno ijjat kee jindagee de
Jinhe ata kee hai too ne taakat
Unhe hidaayat kee roshanee de
Saro me kibro ghurur kyon hain
Dilo ke shishe pe jang kyon hai
Khudaaye bartaar teree jamin par
Jamin kee khaatir yeh jang kyon hai

Khaja ke raste pe jaanevaalo ko
Bach ke aane kee rah dena
Dilo ke gulshan ujad na jaaye
Muhabbato ko panaah dena
Jahan me jashne vafa ke badle
Yeh jashne tiro tafang kyon hai
Khudaaye bartaar teree jamin par
Jamin kee khaatir yeh jang kyon hai

Khudaaye bartaar teree jamin par
Jamin kee khaatir yeh jang kyon hai
Har ek fataaho jafar ke daaman pe
Khune insaan kaa rang kyon hai
Khudaaye bartaar teree jamin par
Jamin kee khaatir yeh jang kyon hai