Taraana – Sine Me Sulagate Hain Armaan Song Lyrics

This Bollywood movie released in the year 1951 and was written and produced by Mr K.S Daryani. The direction for the film is done by Mr Ram Daryani and the star cast is inclusive of Madhubala and Dilip Kumar in the lead roles along with Jeevan, Shyama, M.Kumar, Girdhari, Dewaskar, Gope, Chandu and Vikram Kapoor in supporting characters. The music composition for the film is done by Mr Anil Biswas.

Album: Taraana

Song: Sine Me Sulagate Hain Armaan


Lyrics

Sine me sulagate hain armaan, aankho me udaasee chhaayee hai
Yeh aaj teree duneeya se hame takdir kaha le aayee hai
Sine me sulagate hain armaan

Kuchh aankh me aansu baakee hain
Jo mere gham ke saathee hain – (2)
Abb dil hain na dil ke armaan hain – (2)
Bas mai hu meree tanhaayee hai
Sine me sulagate hain armaan

Naa tujhase gila koyee hamako, naa koyee shikaayat duneeya se
Do chaar kadam jab manjil thee -2, kismat ne thhokar khaayee hai
Sine me sulagte hain armaan

Kuchh aisee aag lagee mann me, jine bhee naa de marne bhee naa de
Chup hu toh kaleja jalata hai -2, bolu toh teree ruswaayee hai
Sine me sulagte hain armaan