Waqt Ki Deewar – Jawani Ka Guzra Zamana Song Lyrics

This Bollywood movie was released in the year 1981 and was directed by Mr Ravi Tandon. The production was handled by Mr T.C Dewan and the star cast is inclusive of Jeetendra, Neetu Singh, Sulakshana Pandit and Sanjeev Kumar in the lead roles. The music composition for the songs of the film is done by duo Laxmikant and Pyarelal.

Album: Waqt Ki Deewar

Song: Jawani Ka Guzra Zamana


Lyrics

Jawani ka guzra zamana – 2
Mujhe yad aane laga hai
Jadu sa chhane laga hai
Dil gungunane laga hai – 2
Jadu sa chhane laga hai
Dil gungunane laga hai

Mera mehman walla hai
Meri jan walla
Ho gaya kurban walla
Kya maja aane laga hai
Jadu sa chhane laga hai
Dil gungunane laga hai – 2

Mera mehboob allah
Mila kya khub allah
Gaya dil dub allah
Kya nasha chhane laga hai
Jadu sa chhane laga hai
Dil gungunane laga hai – 3

Kya chand utra jami pe
Kya raat hai ilahi – 2
Humko mila jo woh teri
Saugat hai ya ilahi
Rukh e roshan se
Utha jo parda
Tere jalwo se ye mera
Dil ye jagmagane laga
Jadu sa chhane laga hai
Dil gungunane laga hai – 2

Yu apni basti me lake
Na chhed bate banake – 2
Ab sharam kaisi tujhe mai
Laya hu dulhan banake
Mai to sharmau haye mari jau
Mera diwana sanam
Ye kya sitam dhane laga hai
Jadu sa chhane laga hai
Dil gungunane laga hai – 2

Allah nagar se bachaye
Jodi lage kitni pyari – 2
Humpe rahe tera chhaya
Bas ye dua hai hamari
Ya khuda maine jo dua mangi
Meri dua ka aaj asar aane laga hai
Jadu sa chhane laga hai
Dil gungunane laga hai – 2
Jawani ka guzra zamana
Mujhe yad aane laga hai
Jadu sa chhane laga hai
Dil gungunane laga hai – 2