Waqt – Maine Ek Khwab Sa Dekha Hai Song Lyrics

Waqt is a 1965 classic film directed by Yash Chopra. It had an ensemble star cast that included Raj Kumar, Sunil Dutt, Shashi Kapoor, Sadhana, Balraj Shani, Sharmila Tagore, Achala Sachdev and Rehman. Its success paved the way for multi-starrer star cast film in later years. It deals with a family separated by natural disasters and reunites after going through lots of changes in their lives. The film is also remembered for its dialogues, and songs.

Album: Waqt

Song: Maine Ek Khwab Sa Dekha Hai


Lyrics

Maine ek khwab sa dekha hai
Jara me bhi sunu
Sun ke sharma to na jaogi
Mm h tum se nahi

Maine dekha hai ki phulo se ladi shakho me
Tum lachakati hui u meri karib aayi ho
Aa
Jaise muddat se uhi sath raha ho apna
Jaise ab ki nahi sadiyo ki shansai ho

Maine bhi khwab sa dekha hai
Kaho tum bhi kaho
Khud paye itara to na jaoge
Nahi khud se nahi

Maine dekha ki gate huye jharno ke karib
Apni betabi jazbat kahi hai tum naye
Hmmmm
Kapte hotho se rukati hui aawaz ke sath
Jo mere dil me thi vo baat kahi hai tum ne
Hmmm hmmm hmmm hmm hmmm

Aanch dene laga kadmo ke tale barf ka pharsh
Aaj jana ki mohabbat me hai garmi kitani
Hmmm mmmm
Sangmaramar ki tarah sakt badan me tere
Aa gayi hai mere chulene se narmi kitani
Hmmm hmmm hmmm hmm hmmm

Hum chale jaate hai aur door talak koi nahin
Hum chale jaate hai aur door talak koi nahin
Sirf paton ke chatakhane ki sada aati hai

Dil me kuch aise kayalat ne karvat li hai
Mujh ko tum se nahi apne se haya aati hai
Hmmm hmmm hmmm hmm hmmm

Maine dekha hai ki kohare se bhari vaadi me
Mai ye kahta hu chalo aaj kahi kho jaye
Hmmm hmmm
Mai ye kahti hu ki khone ki zarurat kya hai
Odh kar dhundh ki chadar ko yahi so jaye
Hmmm hmmm hmmm hmm hmmm – 6