Woh Bewafa – Uss Bewafa Ki Yaad Mein Song Lyrics

Album: Woh Bewafa

Song: Uss Bewafa Ki Yaad Mein


Lyrics

Uss bewafa ki yaad mein mar mar ke ji raha hoon – (2)
Main hoon nahi sharaabi dar dar ke pi raha hoon
Behlaau kaise dil ko, jab ghum ho behisaab
Achchi ho ya kharaab, sab kuchh hai abb sharaab – (2)
Uss bewafa ki yaad mein mar mar ke ji raha hoon
Main hoon nahi sharaabi dar dar ke pi raha hoon

Thoda pi leta hoon, thoda ji leta hoon
Dil ke inn jakhmon ko thoda si leta hoon
Kal mila tha unase yuun hi bas raahon mein
Woh bahot hi khush thi gair ki baahon mein
Jakhmon se bar bhari hai abb dil ki yeh kitaab
Achchi ho ya kharaab, sab kuchh hai abb sharaab – (2)

Jindagi mushkil hai ji raha hoon phir bhi
Sab mana karate hai pi raha hoon phir bhi
Jab kabhi bhule se nind aa jaati hai
Woh mere khwaabon mein phir se chha jaati hai
Duniya sawaal puchhe kis kisko main du jawaab
Achchi ho ya kharaab, sab kuchh hai abb sharaab – (2)
Uss bewafa ki yaad mein mar mar ke ji raha hoon
Main hoon nahi sharaabi dar dar ke pi raha hoon
Behlaau kaise dil ko, jab ghum ho behisaab
Achchi ho ya kharaab, sab kuchh hai abb sharaab – (3)