Yaariyan – Zor Laga Ke Haisha Song Lyrics

This Bollywood movie is adventurous and romantic. Based on college life, the movie is directed by Mrs Divya Khosla Kumar and stars Rakul Preet Singh and Himansh Kohliand in leading roles. The production for the film is done by Krishan Kumar and Bhushan Kumar under their Super Cassettes Industries Ltd banner. Pritam has composed the soundtrack of this film. The highlight for the film is the song “Paani Paani,” sung by Honey Singh. The movie is a debut for the lead actors along with the director.

Album: Yaariyan

Song: Zor Laga Ke Haisha


Lyrics

Hum jawaan khoon ki garmi se garmi se ya besharmi se – 2
Jo thaan liya kar jaayenge ab jeet ke hi ghar jaayenge – 2
(Chal zor lagake haisha chal
Kadam badha ke haisha) – 2
Iraadon mein hai dum hawa ke hum kadam

Aazaadiyon ki kya hadein na hausalon ki hai sarhadein
Hum parvaton ko cheer dein hum aandhiyon naa raah dein

Ishq ya jung zamaane se donon mein jeet zaruri hai
Duniya ke apne laalach hain dil ki apni majburi hai
Yeh baat bata ke jaayenge hum khwaab saja ke jaayenge… – 2
(Chal zor laga ke haishaa chal kadam badha ke haisha) – 2
Iraadon mein hai dum hawa ke hum-kadam
Kya dooriyan, kya faasle bekhauf se yunhi chalte chale
Yeh jaanti hai manzilein toofan hai kahin pairon tale

Hum khushiyon ke hain saudagar sabke aansoo pee jaate hain
Jab jag samjhe be-jaan hamein hum hanste hain, jee jaate hain
(Yeh aadat bohat puraani hai hum hindi hundustani hain) – 2
Chal zor laga ke haisha jhanda fehra ke haishaa
Chal zor lagaake haisha sab saath mein ja ke haisha
Chal pyaar jataa ke haishaa jan gan man gaa ke haisha
Iraadon mein hai dum hawa ke hum kadam