Yalgaar – Hai Dil Mein Lagan Song Lyrics

This Bollywood movie released in the year 1992 and was directed by Mr Feroz Khan who also acted in it. The movie also starred Sanjay Dutt, Kabir Bedi, Mukesh Khanna and Manisha Koirala in pivotal roles. The music composition for the songs of the film is done by Channi Singh and Viju Shah.

Album: Yalgaar

Song: Hai Dil Mein Lagan


Lyrics

Su: baar-e-duniyaa mein.. raho shaad ke, naashaad raho
Aise kuchh karke chalo, karke chalo yaa ke
Bahut yaa..d raho, yaad raho, yaad raho

Ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan -2
Ye jaan nichhaavar karne ki
A: hai dil mein lagan, ey mere vatan
Ye jaan nichhaavar karne ki
Ni: kyaa baat hai aise jeene ki -2
A: kyaa shaan hai aise marne ki
A, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
Ye jaan nichhaavar karne ki

Ni: hai maut se rishtaa jeevan kaa
Paidaa jo huaa vo martaa hai
A: is janam-janam ke saathi se
Naadaan hai vo jo dartaa hai
Ni: veeron ne reet nibhaai hai -2
Marne se mohabbat karne ki
A: kyaa baat hai aise jeene ki -2
Ni: kyaa shaan hai aise marne ki
A, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
Ye jaan nichhaavar karne ki

A: ye zaalim daakoo hatyaare
Desh aur insaan ke dushman hai
Ni: vah vaar karenge ham inpar
Ye dharm-imaan ke dushman hai
A: khaate hain qasam, is desh mein ham -2
Ik jashn-e-bahaaraan karne ki
Ni: kyaa baat hai aise jeene ki -2
A: kyaa shaan hai aise marne ki
A, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
Ye jaan nichhaavar karne ki

A: ye rut hai pyaar mohabbat ki
Har mod pe husn ke jalve hain
Ni: mitti mein mahak hai phoolon ki
Zarron mein chaand sitaare hain
A: armaan hai pyaar mein jeene kaa -2
Hasrat hai husn pe marne ki
Ni: kyaa baat hai aise jeene ki -2
A: kyaa shaan hai aise marne ki
A, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
Ye jaan nichhaavar karne ki