Yeh Khula Aasmaan – Har Ghadi Song Lyrics

“Har Ghadi from Yeh Khula Aasmaan” The song is sung by Kunal Ganjawala & the music is composed by Anand Chitragupt and Milind Chitragupt. This Song from Yeh Khula Aasmaan is nicely penned by Ravi Chopra & very well sung by Kunal Ganjawala


Har ghadi ik naya imtehaan zindagi
Chahti hai tu kya sach bata zindagi
Ho gayi bewajah kyun khafa zindagi
Chahti hai tu kya sach bata zindagiDil mein sau uljhane hain pareshan nazar
Hum samajh na sake, hai ye kaisa hai shehar
Raat ko bhi yaha raat soti nahi
Din nikalta hai par subah hoti nahi
Humko le aayi tu ye kahaan zindagi
Chahti hai tu kya sach bata zindagiHar ghadi ik naya imtehaan zindagi
Chahti hai tu kya sach bata zindagiHumne paya hai kya aur kya kho diya
Sochne aaj baithe toh dil ro diya
Raah jin jugnuo ne dikhayi humein
Yaad ujalo mein unki naa aayi humeHum se kyun ho gayi ye khata zindagi
Chahti hai tu kya sach bata zindagi
Har ghadi ik naya imtehaan zindagi
Chahti hai tu kya sach bata zindagiLakshya kya hai tera sirf ye jaan le
Jeetna hai tujhe, dil mein yeh thaan le
Baadalon pe tu apne nishaan chhod de
Aaj tu in hawaaon ka rukh mod de
Kal karega udanon pe teri gumaan
Yeh khula aasmaan
Yeh khula aasmaan
Yeh khula aasmaan
Yeh khula aasmaan…


Singer: Kunal Ganjawala

Lyricist: Ravi Chopra

Music: Anand-Milind